Kya Tujhe Ab (Full Video Song) | Sanam Re (2016) ♦ Watch and Download in HD Video & MP3 format + Lyrics

Watch and Download Kya Tujhe Ab (Full Video Song) | Sanam Re (2016) in full HD Video and Audio MP3 format + Get Lyrics. This song is sung by Falak Shabir, composed by Amaal Mallik, written by Manoj Muntashir and featuring Pulkit Samrat, Yami Gautam.

Lyrics: Kya Tujhe Ab (Full Video Song) | Sanam Re (2016)

Kya tujhe ab ye dil bataye
Tujhpe kitna mujhe pyaar aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye

Yoon rahun chup, kuch bhi na bolun
Barson lambi neendein so loon
Jin aankhon mein tu rehta hain
Sadiyon tak wo aankhen na kholun

Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2)

Jis shaam tu naa miley
Woh shaam dhalti nahi
Aadat si tu ban gayi hai
Aadat badalti nahi..

Kya tujhe ab ye dil bataye
Tere bina kyun saans na aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye

Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2)

Haathon se girne lagi
Har aarzoo har duaa
Sajde se main uth gaya
Jis pal tu mera hua (x2)

Kya tujhe ab ye dil bataye
Kyu teri baahon mein hi chain aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye

Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2)

Aa…
O o aa o..

Download: Kya Tujhe Ab (Full Video Song) | Sanam Re (2016)